📝 歌词预览
作词 : Kushagra Mathur
作曲 : Dixit Jaiswal/Kushagra Mathur
Kahen kahani jo kahani hai ye mard ki hai
Zinda kahani uske khushi ki hai dard ki hai
Alag alag umar mein alag alag roop hai
Zindagi bando ki kabhi chaaon kabhi dhoop hai
Kisika Bachpan taqdeer ka mohtaj jaise
Kahin naseeb mein likha hi ho Raj jaise
Kisine Bache ko ghoda hi banana hai
Beta kya banoge bade hoke ye bataana hai ache se padhaana hai ache se khilaana hai
Zindagi ki sharton pe chalega ye zamana hai
Kuch bando ki zindagi kismat ka khazana hai
Baaki bandon ka dekho bachpan se fasaana hai
Baap tera bada hai to tu thoda sa jilega
Par koi bachpan ki pyaali mein zehar bhi pilega
Jisko beta jeena hai wo jaise taise jeelega
Apne dam pe aage aake shayad sabki lelega
Ya barkat hai ya hairat hai... Jo bhi ye khel khelega
Acha ho ya bura ho to bhi ye sab kuch jhelega
Do pehlu mein dekhi maine mard ki ladaai
Ya to bal ya oonchai
Ya phir khel aur padhaai
Ab Jo bhi Jaise jaise bada hoga
Kaise kaise palaa hoga
Aise waise chalaa hoga
Bura hoga bhala hoga
Aag mei jalaa hoga
Zindagi se sadaa hoga
Phir apni fitrat ke
saanche mein dhalaa hoga
Dosti hai yaari hai sangat sab pe bhaari hai...
Chuhon ki daud se thak ke nashe karna jaari hai...
Sirat kisiki pyaari, koi saala fankaari hai, koi bachke rehta sabse kaisi Duniyadaari hai.
Tu ye karle ya wo karle, waat to lagegi bhai...
Chaahe jaise tu bachle laat to lagegi bhai...
Aarakshan ke quote mein jaat to lagegi bhai...
Paise se hi sab kuch hoga gaand to jalegi bhai
Mehnat ka kya mol hoga, duniya mein ab jhol hoga, soch soch ke pagal hoke tu bhi daama dol hoga...
Ab Kuch to usne dekha hai jo dekha hai wo seekha hai
Kuch to uspe beeta hai, jo wo aise jeeta hai
Duniya to bataayegi jeene ka saleeka
Samajh apni apna hi tareeka
Koi azaad to koi kaabu mein rehta hai
Chup hai koi chup rehke sunta sehta hai
Koi baaten likh ke gaa ke aage aake kehta hai
Thoda saa fark hai thoda sa tark rehta hai
Ladki jo pataani hai jo khaali ye jawaani hai, jodi bhi banaani hai aisi kuch kahani hai
kisiko fasaana hai thoda sa ghoomana hai kisiko biwi banaake ghar bhi basana hai
Usko hasaana hai rulaana hai sataana hai... thoda sa manana hai ab aisa hi zamana hai
Phas jaate hai phir bechare irshaa ke jaal mein jo
Lag jaayegi waat inki ladki jo rubaab de to
Uparwaale ne bhi kaisi duniya banayi hai
Baat baat pe bando ki to aapas mein khataai hai
Surat aur niyat pe jaise aapas mein ladaai hai
Haar jeet ka khel ye jeevan isme kya badaai hai
Kaam wo bhi karna jisme ki duniya ki manaai hai
Soch ko sudhaaro apni usme hi bhalaai hai
Tum chaaho to shok hai tum chaho to badhaai hai...
Baat koi nayi nahi hai pehle bhi bataayi hai
Do pehlu pe dekhi maine mard ki ladaai
Ya to ling ki lambaai
Ya to paisa aur kamaai
Ya to ling ki lambaai ya phir paisa
Ye khel hai kaisa...
Ling ki Lambaai Ya phir Paisa !
ℹ️ 下载说明
LRC时间轴歌词,支持卡拉OK同步显示
文件格式:.lrc | 字符编码:UTF-8